A little romantic… a little rude.
Hello readers ✨
I welcome you all to yet another poetry session. This one has a lot of emotions tangled into words and aligned into phrases. So here’s a short outline about the story that was running into my mind which has been turned into a poetry.
This poetry is about a guy who undertakes every possible effort to take care of her girl but doesn’t love her. The girl describes the event that makes her eventually realise 'wo khayal toh karta hai magar mujhse pyaar nahi karta’.
Enjoy this emotional heart touching hindi poetry on love.
Lets begin:
wo khayal toh karta hai magar mujhse pyaar nahi karta.....
'' meri zara si pareshani se karleta hai mayoos wo khud ko,
fir bhi apne azeezon mai mera naam nahi leta
yun toh rehti hai badi dilchaspi usko meri daastan mai,
bus khudko mere kisson mai shumaar nahi karta
wo khayal toh karta hai magar mujhse pyaar nahi karta
mai paas jaun uske ye usse munasib nahi lagta,
aur mere dur jaane se bhi inkaar hai karta
ladta toh bahot hai mujhse choti choti baaton par,
aur mai ho jaun naraaz ye bhi wo bardasht nahi karta
wo khayal toh karta hai magar mujhse pyaar nahi karta
kisi safar mai wo mujhe akele chalne nahi deta,
usko humsafar kahaun itna wo ikhtiyaar nahi deta
uske mijaaz ka kissa bhi ajeeb hai doston;
khud toh kanjar tak chala deta
koi aur kharoch bhi de, ye wo bardasht nahi karta
wo khayal toh karta hai magar mujhse pyaar nahi karta
kehta toh hai k mai waakif hun acchi tarah tujhse,
ye aur baat hai k bus dil ki wo ye baat nahi samajhta
wo khayal toh karta hai magar mujhse pyaar nahi karta...''
Hey, so how was the poetry?
Would love to hear from your side. Do share your feedbacks in comments.
Another beautiful poetry (titled — forever mine) : https://link.medium.com/M7RHCZQL6lb
Thank you 💙