A poetry of hundred wounds đź’”

A.naaz
2 min readDec 7, 2021

Ab tujhsekoi shikwa koi gila nahi hai..

These words are meant to be felt.

Hey!!!
welcome back readers,

Let’s give a try to framing stanzas and working on rhyme scheme to write something worth having a read. So, it’s basically a short story, a microtale which is displayed in the form of a poetry.

This sad poetry is about heartbreaks and pain. I have tried to put together through my words the emotional state and thoughts that come across during that state.We might move on but deep down the memory and regret stays forever. Sad poetry written on story of betrayal received from a really dearest person.

Image source — unsplash.com

Let's start:

Ab tujhse koi shikwa koi gila nahi hai,
haan magar afsos hai k tu mujhe mila nahi hai.
Sab kuch toh diya tha apna is rishte ko maine,
phir kya wajah thi jo tu itna duur hogaya,
khata thi meri ya tu yun hi kisi aur ki mohabbat ke aage majboor hogaya?

Pal bhar k liye bhi kya tujhe yaad nahi aati meri?
kya jhooti thi saari kasmein teri?
nae chahat mai kitni aasani se tu masroof hogaya,
Saalon ke saath chor pal bhar mai hi dur hogaya.

Shikayat nahi hai mujhko haan magar hai naraazgi thodi,
teri bewafai ko maan liya maine teri majboori.
sach kahun toh is dil ne tujhe maaf kardiya,
teri khwahishon aur chahaton se khudko kuch had tak azaad kardiya,

tujhse khafa rahun ye meri aadat nahi hai,
bhool jaon tujhko itni mujhe ijazat nahi hai,
Agar tu sun sakega meri dwaon ko toh jaan jayega,
teri khushiyan na mangu toh wo mukammal hi nahi hai,

bus ek baat meri ae yaar tu sunna,
meri tarah tu kisika haal na karna,
purane andaaz mai tu apne nae yaar se pyaar na karna,
jhoote pyaar se kisike sacche dil se khilwaad na karna.
Kuch pal k liye kisiko azeezon mai shumaar na karna..

shayad hum hi the galat tune jo kiya wo sab sahi hai
ab tujhse koi shikwa koi gila nahi hai,
haan magar afsos hai k tu mujhe mila nahi hai....

If you missed the previous poetry (which was not at all sad) then here’s the link that will take you to it — https://link.medium.com/3pNzHiisIlb

And before wrapping up I just wanted to remind that your feedbacks are always welcomed.

Be sure to drop your views and give a clap in case you liked the poetry.

Thank you đź’™

--

--